Tuesday 31 July 2012

Intzaar

dard ka silsila kuchh is tarah sahta raha hu mai ... 
raat bhar uski yaad me mai karvate bdalta rha hu mai... 
neend ka to jaise naata hi toot gya ho mujhse... 
jab thak gya ro ro k to taaro ko hi ginta raha hu mai... 
wo kasme teri wade tere aur teri wo bholi farebi c baate... 
inhi yaado ka daur chlta raha aur har pal dard me machlta raha hu 
mai na kah saka kisi ko haal-e-dil apna 
na chp mujhse raha gya tanhai se baate kar kar k
 raat bhar tere diye jakhmo ko silta raha hu mai...
 khud se ik pal ki meri duri tujhse sahi na jati thi... 
kaise tu gair ki bahho me soti hogi yehi soch k sara waqt jalta raha hu mai... 
na jee saka na mar ska na kisi aur k dil me mai ghar kar saka....
 "tere siva kisi aur ka hak nhi mujhpe" 
yahi wada aaj tak nibhata rha hu mai... 
aab tak bhi teri jagah"Nayyar" k dil me barkarar hai... 
ik baar aa k dekh kaise bechaini se aaj bhi tera intzaar kar rha hu mai.

Manzar Mere Mout ka

Meri mout ka bhi kya khoob tha manzar... 
Dikhave ke liye hi sahi magar ro rahe the sab toot kar...
 Kisi ne hal puchha na tha jeete jee kabhi... 
Wo kahani sun rahe the mere mout ki ro ro kar... 
Ta umar akela rha tanaiyo ke saye me...
 Aaj log aa rahe the mere janaze me toot kar...
 sab ki ankho me to ansu the zaroor... 
magar sab ro rahe the apna hal soch kar... 
mujhe nahlaya dhulaya gya fir sjaya gya... 
kabhi khushi manayi nhi aaj mere gum ko dhum dham se manaya gya... 
ajeeb dastoor hai duniya ka bhi mere malik... 
jeete ji ek tohfa na mila aur marne par jalane ke liye mujhe sjaya gya...